Sunday, April 24, 2011

Satya Yaa Mithya

Ek the chota sa koi baba, khudko kehtatha ‘satya sai baba’
Chamatkar tha uska jineka sahara

The uske bohat sare bhakt aur bhaktia
Chele aur chelion ko har din milte the bohot sare khushia

When' roj phailatethe chamatkaron ke ek na ek kissaPhir bhi maine nahin man uska bebuniyad kahaniya


Kyon ki uske paas tha koi jaadoo ka ek danda
Uska jaado tha bhakton ke liye ek phanda

Jiske sahare usse milte the chele chelion ke ek adda
Roz koi mujhe sunata tha uska ek na ek bemisaal kissa

Phir bhi nahin bana maine uska chela ya koi bhakta
Main kaheta tha ki who tha ek mithya, mithya,mithya

Chota baba sah nahin paya uska yeh badnamion ka handa
Aakhir mujhe uska aahi gaya ek sapna

Sapne main usne bola, “dekh beta yeh chamatkar mera”
Maine bola, "yeh jaadoo to kar dikhayega P.C.Sarkar hamara'

Booda nahin mana who baba aur mujhe dikhaya chamatkar dher saara
Maine bola, “maanta nahin hoon main yeh sab jaadoo tumhra”

Taang aakar usne bola "tu kabhi nahin banega mera chela ya koi beta”
Maine bola, “jaao kisi ‘stage’ pe jaao….sant-sadhutma bas nahin tumhara”

Dheere dheere sar jhukaya chota sa who baba
Aur chala gaya who mithya sai baba

Uske peeche chod gaya dher sara pathsaala
'School', 'college', 'university', muft ka aaspatal aur davakhana

Gareebon ka aashram, muft khane ka ek kazana
Chod gaya ....bhakton aur chelon main....ek adbhoot sa sadbhavna
Insaaniyat.....satata......prem.....umeeden.....aashayen…dher sara

Aab jake maine uska aasli chamatkar dekha paya
Mera shakila sapna to toota

Main bhi ban gaya uska ek khaas bhakt aur chela
Kyon ki whohi to tha mera ek matra saacha
…..satya,satya, satya …..’Satya Sai Baba’.